husn ki jitni baDhin ranaiyan
By aarif-naqshbandiApril 21, 2024
husn ki jitni badhin ranaiyan
'ishq ke sar ho gain ruswaiyan
us nigah-e-naz ka 'alam na puchh
chhu gai jo qalb ki gahraiyan
wo harim-e-naz mein bechain hain
yaad aati hain meri tanhaiyan
un hasin aankhon mein aansu aa gae
aah mere 'ishq ki ruswaiyan
mahfil-e-duniya ko thukra dun magar
jalwa-farma hain teri ranaiyan
husn ke daman pe dhabba aa gaya
dur ja pahunchen meri ruswaiyan
mere qadmon mein hai aish-e-jawedan
tere gham ki hain karam-farmaiyan
'ishq ki fitrat hai 'arif' bebasi
chal nahin saktin teri khud-araiyan
'ishq ke sar ho gain ruswaiyan
us nigah-e-naz ka 'alam na puchh
chhu gai jo qalb ki gahraiyan
wo harim-e-naz mein bechain hain
yaad aati hain meri tanhaiyan
un hasin aankhon mein aansu aa gae
aah mere 'ishq ki ruswaiyan
mahfil-e-duniya ko thukra dun magar
jalwa-farma hain teri ranaiyan
husn ke daman pe dhabba aa gaya
dur ja pahunchen meri ruswaiyan
mere qadmon mein hai aish-e-jawedan
tere gham ki hain karam-farmaiyan
'ishq ki fitrat hai 'arif' bebasi
chal nahin saktin teri khud-araiyan
87575 viewsghazal • English