husn ko ghair ki nazron se na parkha jae

By salma-hijabFebruary 2, 2022
husn ko ghair ki nazron se na parkha jae
dekhne wale ka mear bhi dekha jae
aao tajdid-e-wafa ko hi bahana kar len
munjamid dariya mein tufan uthaya jae


baad muddat ke phir ehsas-e-tarab jaga hai
phir se palkon ko sitaron se sajaya jae
imtihan zarf ka apne hi agar lena hai
kal jo paya tha chalo aaj wo khoya jae


81935 viewsghazalEnglish