husn kya kya muskuraya ishq ke andaz par

husn kya kya muskuraya ishq ke andaz par
naghma-e-gham jab bhi chheda hum ne dil ke saz par

khar-zar-e-zindagi ko bhi bana deta hai khuld
kyon na hum iman laen ishq ke eajaz par

teri apni zat mein muzmar hai husn-e-lam-yazal
kis liye sajde pe sajda jalwa-gah-e-naz par

jalwa-farma kaun mehr-o-mah ke parde mein hai
raqs karta hai nizam-e-dahr kis ke saz par

baal-o-par se kab koi pahuncha faraaz-e-arsh tak
ye saadat munhasir hai himmat-e-parwaz par

hain wahi maqbul-e-alam jo gareban-chaak hain
har kali gul ban gai is inkishaf-e-raaz par

aa gai sehn-e-chaman mein fasl-e-gul to kya hua
hain wahi gham ke tarane zindagi ke saz par

raaz-e-ulfat ghair se kahna hai nang-e-ashiqi
naz tha mansur ko kyon inkishaf-e-raaz par

ishq ki qismat mein hote hain salib-o-dar bhi
shad ai 'sabir' na ho tu lazzat-e-aghaz par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close