husn nikhar nikhar gaya wasl ki ek raat mein ishq bahak bahak gaya masti-e-wardat mein raat tamam ho gai sirf takallufat mein ishq tadap tadap utha husn ki baat baat mein kitne rafiq the mere jab tha zamana-e-nashat koi na ham-nawa hua waqt pe mushkilat mein un ki nigah-e-awwalin dil mein sama ke rah gai qurb se lutf hai siwa dur ke iltifat mein dil se mujhe bhula saken aap ke bas mein ye nahin yaad meri sataegi din se ziyaada raat mein phaili hui hai raushni zer-e-qadam hai kahkashan samne wo hain aur main gum hun tajalliyat mein