husn pal pal nikharta raha

By prabhat-patelFebruary 28, 2024
husn pal pal nikharta raha
'ishq had se guzarta raha
main ne dil mein basaya jise
wo sitam roz karta raha


pas tha wo magar hijr se
'umr bhar dil ye darta raha
tirgi thi ufuq tak magar
ek suraj ubharta raha


zist karti rahi bas sitam
tut kar main bikharta raha
khali dil ka makan dekh kar
dard mehman thaharta raha


maut hai ham-safar aakhiri
kis ki khatir sanwarta raha
26746 viewsghazalEnglish