husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya

By bakhsh-layalpuriOctober 28, 2020
husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya
wo raushni thi ki kuchh bhi nazar nahin aaya
bhatak rahe hain abhi zist ke sarabon mein
musafiron ko shuur-e-safar nahin aaya


tamam raat sitara-shanas rote rahe
nazar ganwa di sitara nazar nahin aaya
hazar minnaten kin waste khuda ke diye
ye rah-e-rast pe wo rahbar nahin aaya


zaban-e-sher pe mohar-e-sukut hai ab tak
jalal-e-saut-o-sukhan rang par nahin aaya
wo tak rahe hain azal se faraaz-e-gardun par
nazar kisi ko bhi najm-e-sahar nahin aaya


hamare shahr ke har sang-bar se ye kaho
hamari shakh-e-shajar par samar nahin aaya
har ek mod pe hum ne bahut sadaen din
safar tamam hua ham-safar nahin aaya


dayar-e-ghair se mera wo sar-phira beta
gaya hai ghar se to phir laut kar nahin aaya
36241 viewsghazalEnglish