huzur khel hai ya phir Darama-bazi hai
By aarif-nazeerJuly 12, 2024
huzur khel hai ya phir darama-bazi hai
tumhaara pyar bil-akhir darama-bazi hai
main ulte panw palat jaun teri bazm se kya
agarche meri hi khatir darama-bazi hai
wo jis ko lafz baratna talak nahin aata
bana hua hai wo sha'ir darama-bazi hai
ye kis liye tere kirdar sar-phire hue hain
ye kis darame ki khatir darama-bazi hai
agarche 'ilm hai lekin 'amal nahin koi
darame-baz hai zakir darama-bazi hai
sabhon ko khub hidayat mili pas-e-parda
sab apne fan mein hain mahir darama-bazi hai
'adu se kah do tamasha na ab kare koi
hamare yar hain zahir darama-bazi hai
sabhi to thop chuke hum pe apni tahziben
hum ab talak hain muhajir darama-bazi hai
safed mom ke jaisa hai tera dil 'arif'
dikhai deta hai shatir darama-bazi hai
tumhaara pyar bil-akhir darama-bazi hai
main ulte panw palat jaun teri bazm se kya
agarche meri hi khatir darama-bazi hai
wo jis ko lafz baratna talak nahin aata
bana hua hai wo sha'ir darama-bazi hai
ye kis liye tere kirdar sar-phire hue hain
ye kis darame ki khatir darama-bazi hai
agarche 'ilm hai lekin 'amal nahin koi
darame-baz hai zakir darama-bazi hai
sabhon ko khub hidayat mili pas-e-parda
sab apne fan mein hain mahir darama-bazi hai
'adu se kah do tamasha na ab kare koi
hamare yar hain zahir darama-bazi hai
sabhi to thop chuke hum pe apni tahziben
hum ab talak hain muhajir darama-bazi hai
safed mom ke jaisa hai tera dil 'arif'
dikhai deta hai shatir darama-bazi hai
40742 viewsghazal • English