ibn-e-mariyam ki shafaat shoKHi-e-ijad tak
By abaan-asif-kachkarApril 22, 2024
ibn-e-mariyam ki shafaat shokhi-e-ijad tak
khanuman tamir-e-nau shud khanuman barbaad tak
phir ki aaza-e-majalis khud kiye jaane lage
dad-e-fan takmil-e-sozish un ke wan irshad tak
aashiqi mujh be-nawa ki mustanad kab kya rahi
chal rahe hain sahra sahra qais se farhad tak
ku-ba-ku matam bapa hai du-ba-du gardan kati
aamad-e-insan hai phir dar par sayyaad tak
kya hua mansur ka itna tanaza is qadar
ta-naza tha haq ka maqdam haq ke hi aurad tak
dil ke ajza ab kharide ja rahe hain shauq se
dil juda hai dam dawa se saat-e-uftad tak
ye tasawwuf taur-e-marham shairi ka dhab kahan
hai 'aban' mauj-e-ghazal urdu ka hai ustad tak

93682 viewsghazal • English