ibtida-o-intiha hai aaina-dar-aina
By siraj-azmiFebruary 29, 2024
ibtida-o-intiha hai aaina-dar-aina
'aks mera bolta hai aaina-dar-aina
kaun guzra hai mere dil se khayalon ki tarah
jaane kis ka naqsh-e-pa hai aaina-dar-aina
jaise ho tadbir-dar-tadbir raaz-e-zindagi
aadmi yun dekhta hai aaina-dar-aina
dil-ba-dil sail-e-tamanna rag-ba-rag zauq-e-hayat
sochta hun kya chhupa hai aaina-dar-aina
maniye to munkashif hai dil pe misl-e-mahr-o-mah
sochiye to phir khuda hai aaina-dar-aina
main hun khud apni shikaston ki sada-e-bazgasht
tu mila bhi to mila hai aaina-dar-aina
raaz-andar-raaz hai is tarh sari kaenat
jaise koi aaina ho aaina-dar-aina
jo khud apni aag mein jalta raha hai 'umr-bhar
wo 'siraj' ab ke jala hai aaina-dar-aina

49599 viewsghazal • English