id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai
By muzaffar-shikohNovember 10, 2020
id hai aur saqi-e-nau-khez maikhane mein hai
aaj pine ka maza pi kar bahak jaane mein hai
kaif-o-masti jo teri aankhon ke khum-khane mein hai
wo teri mina mein hai saqi na paimane mein hai
hai gham-e-diwar us ko aur na fikr-e-pairahan
kya faraghat tere diwane ko virane mein hai
gar jalane mein jigar ka khun hai lutf-e-intizar
hijr ki lazzat bhi mar mar ke jiye jaane mein hai
us ki nazren bhanp leti hain tujhe har rang mein
kis bala ki hoshiyari tere diwane mein hai
aur uljhate chale jate ho mere subh-o-sham
jab se tum ko ye shaghaf gesu ke suljhane mein hai
ab bala se ho charagh-e-dair ya sham-e-haram
qasd jal kar khak ho jaane ka parwane mein hai

52444 viewsghazal • English