ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka

By imdad-ali-bahrOctober 31, 2020
ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka
us ka to imtihan kai bar ho chuka
ahbab hath uthaen hamare ilaj se
sehat-pazir ishq ka bimar ho chuka


wo be-hisab bakhsh de ye baat aur hai
apne hisab mein to gunahgar ho chuka
main hath jodta hun badi der se huzur
lag jaiye gale se ab inkar ho chuka


bechun kahan main apne dil-e-dagh-dar ko
sauda bura pasand kharidar ho chuka
piri mein parwarish hai abas jism-e-zar ki
phenkun kisi ghadi main ye bekar ho chuka


barham wo shokh kyun na ho kyun zulf ko chhua
ye hath hathkadi ke saza-war ho chuka
ab mujh se iltiyam ki baaten na kijiye
dil tum se phat gaya jigar afgar ho chuka


mujh dil-figar ko na rahi tum se kuchh umid
ye khatt-e-sabz marham-e-zangar ho chuka
darban ko salam karen ghar ki rah len
wo munh chhupa ke baithe hain didar ho chuka


bande ke haal par nazar-parwarish rahe
husn-e-malih ka main namak-khwar ho chuka
lun bosa khun-baha main us abru-kaman se
ab to jigar se tir-e-nigah par ho chuka


ai 'bahr' ab to baat bhi karta nahin wo shokh
wo rasm-o-rah ho chuki wo pyar ho chuka
83189 viewsghazalEnglish