ik-baTa-do ko karun kyun na raqam do-baTa-chaar

ik-bata-do ko karun kyun na raqam do-bata-chaar
is ghazal par hai qawafi ka karam do-bata-chaar

shoala-e-gul se chaman mein kahin lag jae na aag
ab to shabnam bhi nazar aati hai nam do-bata-chaar

kaun kahta hai ki jangal mein nahin sher ko gham
main ne zaigham mein mila dekha hai gham do-bata-chaar

us ke sine se lage baithe hain zakhmon ke sabab
dekho marham mein nazar aate hain hum do-bata-chaar

qasim-e-nar-o-jinan ki hai mohabbat dil mein
ho gaya hissa jahannum ka to nam do-bata-chaar

mausam-e-gul ki qasam kha na khudara bulbul
dekh mausam mein mila rahta hai sam do-bata-chaar

dil liye phirta hai taswir-e-butan ka album
phat na jae ye kahin is mein hai bam do-bata-chaar

surat-e-badr hilal aai nazar un ki jabin
zulfen lahrain hain kha kha ke jo kham do-bata-chaar

wade hamdam ke rahen kyun na adhure ai 'waqar'
is mein lo khud hi nazar aata hai dam do-bata-chaar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close