ik-duje mein bhi to raha ja sakta hai hijr abhi kuchh din tala ja sakta hai yun bhi to kitni chizen hain is ghar mein mera dil kuchh roz rakha ja sakta hai khar agar hain phul bhi to hai thode se daman ko to mahkaya ja sakta hai kash mera dil wo bachcha hi rahta jo aasani se bahlaya ja sakta hai pairahan alfaz ke buton wala ek khamoshi ko pahnaya ja sakta hai tut ke hi ehsas mujhe ye ho paya dard abhi kuchh aur saha ja sakta hai aap khuda hone ki koshish mein hain par sirf aashna bhi to hua ja sakta hai