iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz

By bismil-saeediOctober 28, 2020
iltijaen karne wale ko dua se kya gharaz
jis ko ho tujh se gharaz us ko khuda se kya gharaz
pi raha hai muskura kar jam-e-sehat maut ka
tere bimar-e-mohabbat ko shifa se kya gharaz


ishq kashti apni khud kheta hai apne zor par
na-khuda se wasta kya aur khuda se kya gharaz
main hun aur ab aastan-e-ishq ki hain azmaten
ab mere sajdon ko tere naqsh-e-pa se kya gharaz


dil ko ab zauq-e-mohabbat ke maze aane lage
tujh se ab teri jafa se ya wafa se kya gharaz
o nigah-e-multafit be-faeda hai iltifat
dard hi dil mein nahin hai ab dawa se kya gharaz


ab ghataen mai-kade par chhain to main kya karun
be-dili ko dawat-e-ab-o-hawa se kya gharaz
ruh ko baalidgi ho jis mein ab wo dil nahin
ham-nashin mujh ko bahaar-e-jaan-faza se kya gharaz


kis qadar khush rah ke mar jate hain mazluman-e-ishq
koi ye samjhe inhen roz-e-jaza se kya gharaz
qahr ko bhi jis ke ho ek darguzar se wasta
us ki rahmat ko mere jurm-o-khata se kya gharaz


ab dil-e-nakaam mein wo nala-o-naghma kahan
'bismil' ek saz-e-shikasta ko sada se kya gharaz
88936 viewsghazalEnglish