ilzam kuchh na kuchh to mere sar bhi aaega

ilzam kuchh na kuchh to mere sar bhi aaega
aangan mein ped hoga to patthar bhi aaega

suraj ke ghusl karne ka manzar bhi aaega
in jangalon ke baad samundar bhi aaega

saman jarahaton ke bhi hum sath le chalen
is raste mein shahr-e-sitamgar bhi aaega

wo sanp jis ko dudh pilati hai dushmani
thaili se ek roz wo bahar bhi aaega

palkon pe apni khwab-e-tajalli sajaiye
sham aai hai to raat ka lashkar bhi aaega

jo saya khelta hai abhi meri god mein
ek din wo mere qad ke barabar bhi aaega

is dopahar ki dhup ko shayad khabar nahin
sahra mein koi mom ka paikar bhi aaega

jab tum nahin to us ka bhi kya kaam hai yahan
tum aaoge to bazm mein 'qaisar' bhi aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close