in apne hathon se saghar mujhe pila to sahi

By nasir-nazeer-firaq-dehlviJanuary 4, 2024
in apne hathon se saghar mujhe pila to sahi
lagi hai dil mein jo zalim use bujha to sahi
banegi kyonke sarapa ki is tarah taswir
pada hua hai jo parda use utha to sahi


is aaine mein nazar aaega khuda tujh ko
dui ke zang ko sine se tu hata to sahi
qubuliyat jise kahte hain daudi aaegi
du'a ke waste hathon ko tu utha to sahi


hilal koi kahega to koi phul mujhe
gham-e-firaq mein pura mujhe ghula to sahi
na den bahisht jo tujh ko 'firaq' se kahna
gham-e-husain mein aansu koi baha to sahi


52419 viewsghazalEnglish