in ke aariz pe ashkon ke dhaare jaise phulon ko shabnam sanware gham na kar is jahan-e-talab mein tut jate hain aksar sahaare tum ne mantiq se ulfat ko samjha tum hi jite chalo hum hi haare gham ki zahmat mein kya kuchh na biti raat kati hai gin gin ke tare chhod kar mujh ko bahr-e-alam mein teri kashti gai hai kinare is ko fakhr-e-mohabbat na kyon ho 'daur' dil mein raha hai tumhaare