insan mein haiwan yahan bhi hai wahan bhi allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi khun-khwar darindon ke faqat nam alag hain har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi uthta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi