insan pe kya guzar rahi hai insaniyat aahen bhar rahi hai ab kya hai difa-e-zulm ke pas tarikh sawal kar rahi hai diwaren to sari hain udhar ki aur chhanw idhar utar rahi hai gum apni hawa mein hain machhere mauj apni jagah biphar rahi hai aasuda-e-gham hai koi rut ho wo shakh jo be-samar rahi hai apni hi khabar rahi hai un ko aur apni bhi kya khabar rahi hai khud kuze banae khud bikhar jae ye qismat-e-kuza-gar rahi hai