insaniyat ka aaj ‘alam-dar kaun hai

By abrar-asarJune 19, 2024
insaniyat ka aaj ‘alam-dar kaun hai
ye bar ab uthane ko tayyar kaun hai
bazi laga ke jaan ki teri gali mein hum
dekhenge 'ashiqi ka taraf-dar kaun hai


taqdir le ke aa gai bazar mein hamein
ab dekhna hai apna talabgar kaun hai
chaaron taraf hai aaj ye 'uryaniyat ka jal
fitne se is ke yar khabar-dar kaun hai


sattar hai wo dhanpta hai sab gunah mere
warna 'asar' ke jaisa gunah-gar kaun hai
97874 viewsghazalEnglish