insanon ka chup kar jaana Thik nahin

By danish-azizNovember 16, 2021
insanon ka chup kar jaana thik nahin
tahriron ka shor machana thik nahin
tera ye mohtat rawayya kahta hai
tu ne mujh ko kuchh pahchana thik nahin


ye zalim kab tere aansu pochhenge
taswiron se dil bahlana thik nahin
raste mein kuchh dost numa se dushman hain
us ghar tera aana jaana thik nahin


baadal phir barsat se tauba kar lenge
pani mein yun aag lagana thik nahin
jin baaton ne pahle baat bigadi thi
un baaton ka phir dohrana thik nahin


us ne mera nam likha hai bazu par
har ek ko ye baat batana thik nahin
mausam kaliyan phul nazare tak mein hain
tera ghar se bahar jaana thik nahin


jab tak meri sans salamat sath to do
zinda shakhs ko yun kafnana thik nahin
kyon tujh ko ye baat samajh na aati hai
ishq mohabbat pyar kaha na thik nahin


kitna tujh ko samjhaya tha pyar na kar
tanha ho kar ab pachhtana thik nahin
us ka nam kahin bhi sun kar logon se
teri aankhon ka bhar aana thik nahin


log na jaane kya kya baaten sochenge
baithe baithe gum ho jaana thik nahin
aise to sab log kinara kar lenge
tera itna ghussa khana thik nahin


'danish' chidiyan kaise aakar baithengi
diwaron par kanch lagana thik nahin
58058 viewsghazalEnglish