'insha'-ji hai nam unhi ka chaho to tum se milwaen un ki ruh dahakta lawa hum to un ke pas na jaen ye jo log banon mein phirte jogi bai-ragi kahlaen un ke hath adab se chumen un ke aage sis nawaen na ye lal jataen rakhen na ye ang bhabut ramaen na ye geru-rang faqiri-chola pahan pahan itraen basti se guzren to sare panghat ki alhad ablaen in ki pyas bujhane ko khud umad-ghumad baadal ban jaen nagri nagri ghumne walon mein un ki mashhur kathaen waise baat karo to laj se un ki aankhen jhuk jhuk jaen na un ki guddi mein tanba paisa na manke malaen prem ka kasa dard ki bhiksha git ghazal do hai kawitaen