'insha'-ji utho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein thikana kya is dil ke darida daman ko dekho to sahi socho to sahi jis jholi mein sau chhed hue us jholi ka phailana kya shab biti chand bhi dub chala zanjir padi darwaze mein kyun der gae ghar aae ho sajni se karoge bahana kya phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yahi ek ghadi jo dil mein hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya us roz jo un ko dekha hai ab khwab ka aalam lagta hai us roz jo un se baat hui wo baat bhi thi afsana kya us husn ke sachche moti ko hum dekh saken par chhu na saken jise dekh saken par chhu na saken wo daulat kya wo khazana kya us ko bhi jala dukhte hue man ek shoala lal bhabuka ban yun aansu ban bah jaana kya yun mati mein mil jaana kya jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya