iqrar-e-wafa ummid-e-karam kuchh kah na sake kuchh bhul gae

By sarwar-alam-razMay 15, 2021
iqrar-e-wafa ummid-e-karam kuchh kah na sake kuchh bhul gae
wade wo tere mubham mubham kuchh kah na sake kuchh bhul gae
sarshaari-e-ulfat ka aalam kuchh kah na sake kuchh bhul gae
jazbaat ki wo dhimi sargam kuchh kah na sake kuchh bhul gae


aalam ki wo yurish paiham kuchh kah na sake kuchh bhul gae
dubi hui nabzon ka aalam kuchh kah na sake kuchh bhul gae
yaadon ki khalish wo sham-o-sahar mayus se wo diwar-o-dar
ehsas ki lau maddham maddham kuchh kah na sake kuchh bhul gae


kya wahm-o-guman kya ilm-o-yaqin kya fikr-o-gham-e-duniya-o-din
hasti ke wo sare pech-o-kham kuchh kah na sake kuchh bhul gae
wo sher-e-mujassam jaan-e-sukhan har sans mein yun hai naghma-zan
afsana-e-gham rudad-e-alam kuchh kah na sake kuchh bhul gae


kab daur-e-khizan aaya aur kab rukhsat wo gul-e-ranai hua
mahrumi-e-jaan majburi-e-gham kuchh kah na sake kuchh bhul gae
dil aise purane papi ko kya kaam hai din-o-iman se
wo saz-e-kalisa soz-e-haram kuchh kah na sake kuchh bhul gae


unwan yahi thahre 'sarwar' afsana-e-hasti ke tere
ya qalb-e-hazin ya dida-e-nam kuchh kah na sake kuchh bhul gae
51351 viewsghazalEnglish