irfan-o-agahi ke saza-war hum hue soya pada tha shahr ki bedar hum hue ta umr intizar sahi par ba-roz-e-hashr achchha hua ki tere talabgar hum hue hum par wafa-e-ahd anal-haq bhi farz tha is waste ki mahram-e-asrar hum hue thahregi ek din wahi meraj-e-bandagi jo baat kah ke aaj gunahgar hum hue hote gae wo khalq-farebi mein hoshiyar jitna ki tajribe se samajhdar hum hue nadan the ki masnad-e-irshad chhod kar halqa-ba-gosh-e-sirat-o-kirdar hum hue is daur-e-khud-farosh mein 'akhtar' ba-sad khulus khamyaza-sanj-e-jurat-e-izhaar hum hue