is ahd mein suna hai majbur aadmi se

is ahd mein suna hai majbur aadmi se
rahta hai aadmi bhi ab dur aadmi se

ye raaz kab raha hai mastur aadmi se
zardar aadmi hai mazdur aadmi se

azm-e-khudi salamat mushkil bhi koi shai hai
aksar hui mashiyyat majbur aadmi se

khulti gain hain jab se gumrahiyon ki rahen
hoti gai hai manzil khud dur aadmi se

kahta hai aur hi kuchh fuqdan-e-adamiyyat
waise to hai ye duniya mamur aadmi se

ham-jins ke lahu se khelega kaun holi
hairat ki ye chala hai dastur aadmi se

jab aadmi hi banna mushkil hai aadmi ka
kyunkar khuda bana tha mansur aadmi se

gumnam aadmi ka duniya mein kar-nama
mansub ho rahega mashhur aadmi se

is daur-e-bebasi mein ye haal hai 'mubarak'
jine ka chhin chuka hai maqdur aadmi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close