is andhere mein kahan taza KHayal aaega
By aamir-azherOctober 4, 2024
is andhere mein kahan taza khayal aaega
chand niklega to dariya mein uchhaal aaega
baithiye aap ki mujh se nahin baitha jata
is tawaqqo' pe ki pani mein ubaal aaega
jate jate hi zamane ki rawish jaegi
aate aate hi unhen mera khayal aaega
is liye baitha hun main sath pe be-khauf huzur
mujh ko ma'lum hai kis samt se jal aaega
aah utthegi to rah rah ke uthegi 'amir'
kaam aisa hai ki kar kar ke kamal aaega

13529 viewsghazal • English