is bayaban se jahan hain sari rahen ajnabi

By rahi-italviJanuary 4, 2024
is bayaban se jahan mein sari rahen ajnabi
chalte hain mere fughan meri ye aahen ajnabi
arz pe aawargi aflak mein begangi
ham-safar hain sirf taron ki nigahen ajnabi


phailta hai shahr-e-dil mein har kahin par intishaar
hamla karne aati hain gham ki sipahen ajnabi
hum kyon jaen ai diwano hosh walon ke dayar
hosh ki jo hain panahen hain panahen ajnabi


'rahi' ko dair-ashna si ek din liptegi maut
bhinchti hain hum ko ab hasti ki bahen ajnabi
45938 viewsghazalEnglish