is bazm mein na hosh rahega zara mujhe ai shauq-e-harza-taz kahan le chala mujhe ye dard-e-dil hi zist ka bais hai chaara-gar mar jaunga jo aai muafiq dawa mujhe is zauq-e-ibtila ka maza us ke dam se hai sab kuchh mila mila ho dil-e-mubtala mujhe dair-o-haram ko dekh liya khak bhi nahin bas ai talash-e-yar na dar dar phira mujhe ye dil se dur ho na dikhae khuda wo din zalim tera khayal hai dil se siwa mujhe ranj-o-malal o hasrat-o-arman-o-arzu jaane se ek dil ke bahut kuchh mila mujhe main jaanta hun aap hain mast apne haal mein 'bekhud' nahin hai aap se mutlaq gila mujhe