is darja bhag dauD ke itna kamaenge

By jaleel-arshad-khan-rashidApril 21, 2021
is darja bhag daud ke itna kamaenge
hum zindagi ki sham talak ghar banaenge
pahle to zindagi ki bahut chah thi hamein
kis ko khabar thi rah mein ye mod aaenge


kahte hain kat hi jati hai umr-e-daraaz bhi
so mutmain hain apne bhi din bit jaenge
mahrumiyon ke dagh na-asuda khwahishen
in sab ke sath hum tujhe kya munh dikhaenge


mar kar bhi khwahishon se na mil paegi najat
hum khwahish-e-bahisht ke chakkar mein aaenge
allah mehrban bhi aadil bhi hai 'jalil'
chaliye usi se chal ke zara lau lagaenge


83826 viewsghazalEnglish