is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main

By munne-khan-azimJune 7, 2021
is gardish-e-mudam se ghabra gaya hun main
raftar ek si hai to ukta gaya hun main
har pal hujum-e-yas ka paikar bana hua
aksar is ek haal mein dekha gaya hun main


pazhmurda zindagi se to pichha chhute ki bas
har din khushi ki aas mein marta gaya hun main
apnon ko apna kahte hue aae sharm si
kis kis nazar se dosto dekha gaya hun main


main ne nadim rakh to liya husn ka bharam
par ishq ki chita mein jalaya gaya hun main
le kar utha hun phir se main ek aur azm-e-nau
'azim' ke nam se bhi to jaana gaya hun main


50495 viewsghazalEnglish