is imtihan mein bhi pura utar gaya har shaKHs
By islam-parvezJanuary 3, 2024
is imtihan mein bhi pura utar gaya har shakhs
khud apne khun mein naha kar nikhar gaya har shakhs
na jaane kaun si aahat pe dar gaya har shakhs
ye kya hua ki achanak bikhar gaya har shakhs
fasurda sham mein yun rengte hain sannate
ki jaise maut se pahle hi mar gaya har shakhs
andheri raat mein anjaan siskiyon ki sada
jo aai kanon mein yak-lakht dar gaya har shakhs
dikhai deta nahin dur dur tak koi
main kis se puchhun ki aakhir kidhar gaya har shakhs
mere khayal mein 'parwez' ye bhi thik hua
khud apni zat ki tah mein utar gaya har shakhs

31406 viewsghazal • English