is latafat se nawa-pardaz hona chahiye

is latafat se nawa-pardaz hona chahiye
soz ke parde mein pinhan saz hona chahiye

yun takhayyul ko falak-parwaz hona chahiye
baryab-e-jalwa-gah-e-naz hona chahiye

chha raha hai bazm-e-alam par sukut-e-narawa
ek ishaara ai nigah-e-naz hona chahiye

is tarah kahiye fasana rabt-e-husn-o-ishq ka
har-nafas sarmaya-dar-e-raaz hona chahiye

aaj aata hai zaban par qissa-e-mehr-o-wafa
ahl-e-dil ko gosh-bar-awaz hona chahiye

husn-e-kafir-saz hai ghaarat-gar-e-duniya-o-din
ishq-e-haq-agah ko dam-saz hona chahiye

laeq-e-sad-naz hai 'nayyar' niyaz-e-ashiqi
apni qismat par mujhe bhi naz hona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close