is liye bhi mujhe tujhse milne mein taKHir hai

is liye bhi mujhe tujh se milne mein takhir hai
khwab ki samt jati sadak zer-e-tamir hai

itne phul ek jagah dekh kar sab ka ji khush hua
pattiyan jhadne par koi koi hi dil-gir hai

hansti duniya mili aankh khulte hi roti hui
ye mera khwab tha aur ye us ki tabir hai

jis zaban mein hai us ki samajh hi nahin aa rahi
ghaar ke daur ke ek insan ki tahrir hai

rahm khati hui kitni nazron ka hai samna
meri haalat hi shayad mere gham ki tashhir hai

kaisa kaisa hai jalwa mere samne is ghadi
phir bhi chashm-e-tasawwur mein teri hi taswir hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close