is liye mausam suhana ho gaya

By shyam-vashishtha-shahidJanuary 5, 2024
is liye mausam suhana ho gaya
chand ke ghar aana-jaana ho gaya
kyon bichhadta hi nahin mujh se kabhi
wo jise bichhde zamana ho gaya


qismaton wala hai yaro wo shajar
jo parindon ka thikana ho gaya
tir karne ko tumhaare kaamyab
dil mera khud hi nishana ho gaya


barha mera mana lena unhen
ruth jaane ka bahana ho gaya
un ki aankhon mein raha karte the hum
chhodiye qissa purana ho gaya


ho gaya iqrar jab inkar se
aur bhi mushkil nibhana ho gaya
dil ke kone mein chhupa rahta tha jo
ab wo bachcha bhi siyana ho gaya


27826 viewsghazalEnglish