is liye to bujha nahin hun main
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
is liye to bujha nahin hun main
bujhne wala diya nahin hun main
jo bhi hai sab mera muqaddar hai
zindagi se khafa nahin hun main
meri ta'zim kyon kare duniya
aadmi hun khuda nahin hun main
aandhiyon sans chal rahi hai abhi
jal raha hun bujha nahin hun main
bas zara talkhiyan mizaj mein hain
dosto sar-phira nahin hun main
log jitna bura batate hain
yar utna bura nahin hun main
mustarad kar de jis ko ye duniya
wo ghalat faisla nahin hun main
mujh ko apni talash hai 'alam'
khud se ab tak mila nahin hun main
bujhne wala diya nahin hun main
jo bhi hai sab mera muqaddar hai
zindagi se khafa nahin hun main
meri ta'zim kyon kare duniya
aadmi hun khuda nahin hun main
aandhiyon sans chal rahi hai abhi
jal raha hun bujha nahin hun main
bas zara talkhiyan mizaj mein hain
dosto sar-phira nahin hun main
log jitna bura batate hain
yar utna bura nahin hun main
mustarad kar de jis ko ye duniya
wo ghalat faisla nahin hun main
mujh ko apni talash hai 'alam'
khud se ab tak mila nahin hun main
59690 viewsghazal • English