is nagri mein wo bhi magan tha
By wafa-siddiquiMay 21, 2021
is nagri mein wo bhi magan tha
lohe jaisa jis ka badan tha
aaj hai wo ek khushk shajar sa
kal jo rashk-e-sehn-e-chaman tha
jangal jangal us ki khushbu
phul wo kab mahdud-e-chaman tha
mujh ko na aai talkh-nawai
shahd se mitha mera sukhan tha
dekha na us mein apna chehra
mere ghar mein jo darpan tha
rakhwalon ne aise luta
pal mein khali sab makhzan tha
hath se wo bhi chhut gaya hai
mehr-o-wafa ka jo daman tha
lohe jaisa jis ka badan tha
aaj hai wo ek khushk shajar sa
kal jo rashk-e-sehn-e-chaman tha
jangal jangal us ki khushbu
phul wo kab mahdud-e-chaman tha
mujh ko na aai talkh-nawai
shahd se mitha mera sukhan tha
dekha na us mein apna chehra
mere ghar mein jo darpan tha
rakhwalon ne aise luta
pal mein khali sab makhzan tha
hath se wo bhi chhut gaya hai
mehr-o-wafa ka jo daman tha
29896 viewsghazal • English