is naznin ki baaten kya pyari pyariyan hain palken hain jis ki chhuriyan aankhen katariyan hain is baat par bhala hum kyunkar na zahr khawen hum se wahi rukawat ghairon se yariyan hain tuk safha-e-zamin ke khake pe ghaur kar tu sanea ne is pe kya kya shaklen utariyan hain dil ki tapish ka apni aalam hi kuchh juda hai simab o barq mein kab ye be-qarariyan hain un mahmalon pe aawe majnun ko kyun na hasrat jin mahmalon ke andar do do swariyan hain jaga hai raat pyare tu kis ke ghar jo teri palken nadidiyan hain aankhen khumariyan hain naumid hain ba-zahir go wasl se hum us ke dil mein to sau tarah ki ummidwariyan hain kya puchhta hai hamdam ahwal 'mushafi' ka raaten andheriyan aur akhtar-shumariyan hain