is qadar aandhiyon se Darta hai
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
is qadar aandhiyon se darta hai
wo qafas mein udan bharta hai
us se kuchh bhi nahin chhupate hum
wo hamara 'ilaj karta hai
koi to ped ki jadon mein hai
jo phalon mein mithas bharta hai
khatm ye zindagi nahin hoti
aadmi ta-hayat marta hai
lakh zine banao lekin chand
tuti chhat par nahin utarta hai
itne tare kahan se aate hain
aasman par ye kya bikharta hai
roz batlata hun charaghon ko
kitni mushkil se din guzarta hai
tan rakkhi hai is tarah gardan
jaise hum se bhi koi darta hai
wo qafas mein udan bharta hai
us se kuchh bhi nahin chhupate hum
wo hamara 'ilaj karta hai
koi to ped ki jadon mein hai
jo phalon mein mithas bharta hai
khatm ye zindagi nahin hoti
aadmi ta-hayat marta hai
lakh zine banao lekin chand
tuti chhat par nahin utarta hai
itne tare kahan se aate hain
aasman par ye kya bikharta hai
roz batlata hun charaghon ko
kitni mushkil se din guzarta hai
tan rakkhi hai is tarah gardan
jaise hum se bhi koi darta hai
53490 viewsghazal • English