is qadar logon ki kami hai mujhe

By ankit-mauryaFebruary 5, 2024
is qadar logon ki kami hai mujhe
ek diwar sun rahi hai mujhe
us ko sochun to aankh lag na sake
baat dil pe jo aa lagi hai mujhe


khwab ninden uda gae hain aur
nind khwabon mein aa rahi hai mujhe
itna qail hun main andhere ka
ek jugnu bhi raushni hai mujhe


itna bimar khud ko kar liya hai
sans lena hi zindagi hai mujhe
jine wali to ji chuka kab ka
jo bachi hai wo katni hai mujhe


51853 viewsghazalEnglish