is se behtar meri taswir nahin ho sakti zat-e-be-aib se taqsir nahin ho sakti kuchh to hai khas asiri mein latafat warna sab ko darkar yun zanjir nahin ho sakti mujh ko dhundla sa koi khwab nazar aaya hai ab sahar hone mein takhir nahin ho sakti apni binai se raushan rakho aankhen apni har kisi ghaar mein tanwir nahin ho sakti kaisi uljhan hai ki jis shai ki talab hai mujh ko wo kisi shakhs ki jagir nahin ho sakti jab qalam hath mein aaya to ye jaana main ne mujh se haalat meri tahrir nahin ho sakti ye bharose ki hai buniyaad bhi lazim 'rahat' yun imarat koi tamir nahin ho sakti