is se pahle ki kahani se kahani nikle aa mere dil mein utar aankh se pani nikle itni ujlat mein talashi nahin li ja sakti sanp ko hukm karo raat-ki-rani nikle khair ki sari duaon ka bhala ho ladki ek bosa dam-e-rukhsat ki girani nikle is liye bhi ye badan khinchna padta hai mujhe jitne sikke the mere pas zamani nikle us pe mauquf hai jo hukm ho dariya dekhe ret nikle ya tarai mein se pani nikle