is se pahle ki koi aur haTa de mujhko

By balmohan-pandayOctober 28, 2020
is se pahle ki koi aur hata de mujh ko
apne pahlu se kahin dur bitha de mujh ko
main sukhan-fahm kisi wasl ka muhtaj nahin
chandni raat hai ek sher suna de mujh ko


khud-kushi karne ke mausam nahin aate har roz
zindagi ab koi rasta na dikha de mujh ko
ek ye zakhm hi kafi hai mere jine ko
chaaragar thik na hone ki dawa de mujh ko


yun to suraj hun magar fikr lagi rahti hai
wo charaghon ke bharam mein na bujha de mujh ko
tujh ko malum nahin ishq kise kahte hain
apne sine pe nahin dil mein jagah de mujh ko


har nae shakhs pe khul jaane ki aadat 'mohan'
dene wale se kaho thodi ana de mujh ke
78935 viewsghazalEnglish