is se ziyaada kya kahun main ab sifat mein

By satyawan-satyaJanuary 5, 2024
is se ziyaada kya kahun main ab sifat mein
tum sa nahin hai koi bhi is kaenat mein
jab se mile ho tum mujhe khud ka na hosh hai
din raat khoya rahta hun teri hi zat mein


badli nazar tumhaari to duniya badal gai
sab kuchh badal gaya mera phir is hayat mein
abru nigahen 'aks tere honth chaal sab
shamil hain mere qatl ki ye wardat mein


un ke dil-o-dimagh pe rahta hai khauf sa
apne hi jin ke mar gae hain hadsat mein
hona tha jis mein wasl qayamat ki raat thi
sab kho gaya wajud mera ek raat mein


59783 viewsghazalEnglish