is shahr ke yahin kahin hone ka rang hai
By muneer-niyaziNovember 9, 2020
is shahr ke yahin kahin hone ka rang hai
is khak mein kahin kahin sone ka rang hai
pain chaman hai khud-raw darakhton ka jhund sa
mehrab-e-dar pe us ke na hone ka rang hai
tufan-e-abr-o-baad nihan sahilon pe hai
dariya ki khamushi mein dubone ka rang hai
is ahd se wafa ka sila marg-e-raegan
us ki faza mein har ghadi khone ka rang hai
hai sar-zamin-e-shor ki ek chadar-e-safa
kaisa ajib murda bichhaune ka rang hai
surkhi hai jo gulab si aankhon mein ai 'munir'
khar-e-bahaar dil mein chubhone ka rang hai

69844 viewsghazal • English