is shahr mein kahin pe hamara makan bhi ho bazar hai to hum pe kabhi mehrban bhi ho jagen to aas-pas kinara dikhai de dariya ho pur-sukun khula baadban bhi ho ek dost aisa ho ki meri baat baat ko sach manta ho aur zara bad-guman bhi ho raste mein ek ped ho tanha khada hua aur us ki ek shakh pe ek aashiyan bhi ho us se mile zamana hua lekin aaj bhi dil se dua nikalti hai khush ho jahan bhi ho hum us jagah chale hain jahan ye zamin nahin achchha ho gar wahan pe naya aasman bhi ho