is shoKH-e-ram-shiar se kahta salam-e-shauq

is shokh-e-ram-shiar se kahta salam-e-shauq
qasid yahi hai aaj hamara payam-e-shauq

taid-e-ghaib tale-e-farkhanda ki madad
wo ishwa-sanj aaj hua ham-kalam-e-shauq

qasid kiya hai ahd jo ifa-e-ahd ka
subh-umid-e-wasl hui apni sham-e-shauq

kya muttasil ho yar talawwun hai taba mein
ye der-pa kahan hai tumhaara qayam-e-shauq

madd-e-nazar jo hai wo hamein aashkar ho
ai jazb-e-dil-nawaz madar-ul-maham-e-shauq

majzub-e-ishtiyaq hain mast-e-mai-jamal
roz-e-nukhust se hai ye sharb-e-mudam-e-shauq

be-rah ja raha hai tujhe kuchh khabar nahin
kis pher mein pada hai bata harza-gam-e-ishq

is kaif-e-zauq-o-shauq mein taswir-e-yar hai
farrukh-sarosh ne ye diya hai payam-e-shauq

taufiq ka hai faiz nigah-e-dalil-e-rah
hum ko mila hai ghaib se kas-ul-kiram-e-shauq

'saqi' wo dekh shahid-e-mai-nosh aa gaya
labrez hai ye shaeq-e-nazzara jam-e-shauq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close