is talluq ko nibhao to koi sher kahun
By hamza-bilalFebruary 26, 2024
is ta'alluq ko nibhao to koi she'r kahun
tum agar samne aao to koi she'r kahun
dub jaane pe hi gahrai pata chalti hai
aankh se aankh milao to koi she'r kahun
main kisi monalisa ka nahin qail jaanan
apni taswir dikhao to koi she'r kahun
aap ki chup se hain khamosh fazaen sari
aap honton ko hilao to koi she'r kahun
tum sitaron ko gino aur main dekhun tum ko
sath ek raat bitao to koi she'r kahun
hazrat-e-qais ko kal shahr mein dekha to kaha
dasht mein khak udao to koi she'r kahun
wasl ke daur mein kab she'r hua karte hain
tum mujhe chhod ke jao to koi she'r kahun
tum agar samne aao to koi she'r kahun
dub jaane pe hi gahrai pata chalti hai
aankh se aankh milao to koi she'r kahun
main kisi monalisa ka nahin qail jaanan
apni taswir dikhao to koi she'r kahun
aap ki chup se hain khamosh fazaen sari
aap honton ko hilao to koi she'r kahun
tum sitaron ko gino aur main dekhun tum ko
sath ek raat bitao to koi she'r kahun
hazrat-e-qais ko kal shahr mein dekha to kaha
dasht mein khak udao to koi she'r kahun
wasl ke daur mein kab she'r hua karte hain
tum mujhe chhod ke jao to koi she'r kahun
39040 viewsghazal • English