is tarah aata hun bazaron ke bich

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
is tarah aata hun bazaron ke bich
jaise nind aa jae bedaron ke bich
main musalsal multawi hota hua
har ghadi har gam tayyaron ke bich


ladkhadane lagti hain sansen meri
har-nafas har haal hamwaron ke bich
yaad sahra ki hujum-e-shahr mein
zindagi ka khwab bimaron ke bich


khud-ba-khud band-e-qaba khulte hue
hairat-e-iqrar inkaron ke bich
hum khud afsane ke bahar ho gae
mar hi jate aise kirdaron ke bich


hum 'alam-bardar apne jehl ke
maktabon ke ilm-bardaron ke bich
'farhat-ehsas' aa gaya kya bazm mein
sadgi aai hai hoshyaron ke bich


73629 viewsghazalEnglish