is tarah har ek gunah ka samna karna paDa

By nilesh-noorOctober 25, 2023
is tarah har ek gunah ka samna karna pada
hashr mein khud ke kiye par tabsira karna pada
sulh phir apne hi dil se yun hamein karni padi
faisle ko talne ka faisla karna pada


kaamyabi ki khushi mein chikhta hai ek malal
soch kar nikle the kya kuchh aur kya karna pada
ek muddat se kai chehre the aankhon mein asir
aansuon ki shakl mein sab ko riha karna pada


jhut ke naqqar-khane mein bala ka shor hai
sach ki shahnai ko sun kar an-suna karna pada
aa gaya tha ek bar us ki tilismi baaton mein
zehn ko phir 'umr-bhar dil ka kaha karna pada


jab sabhi patthar khuda hone pe aamada mile
pattharon mein 'nur' khud ko aaina karna pada
14628 viewsghazalEnglish